Rooh Ki Baarish (Pakistan)

Fiqarmand Na Honay Ki 7 Wajuhat (in Urdu)

Fiqarmand Na Honay Ki 7 Wajuhat

1.Woh Khuda jis nay aap ko zindagi bakshi hai aap us par apni zindagi ki tamam tafseelat kay liye bharosa kar sktay hain (Matti 6:25)

2. Kal ki babat fiqr krna aap ki aaj ki kawishon mein rakawat ka sabab banta hai (Matti 6:26)

3. Fiqar krna hamaray liye faidamand nahi blkay nuqsan deh hota hai (Matti 6:27)

4. Khudawand unhe nazarandaz nahi krta jo us par inhesar krtay hain (Matti 6:28-30)

5. Fiqr eman ki kami aur Khuda ko smajhnay ki adam-qabliat ko zahir krti hai (Matti 6: 31-32)

6. Hamzaray pass haqeeqi challenge hai jisay hamen pura krna hai magar fiqrmandi hamen aisa krnay say rokti hai (Matti 6:33)

7. Aaj mein jeena hamen fiqr say dochar honay say mehfooz rkhta hai (Matti 6:34)

 

 “Khuda nay hamen dehshat ki nahi blkay qudrat
aur mohabat aur tarbeeat ki rooh di hai.”

-2 Timotheous 1:7


 

  • khauf ka rooh fiqrmandi ki jarr hai
  • eman aur khauf ek saath kam nahi kr sktay
  • khauf aapko agay brhnay say rokta hai.

 

 

“Chor nahi ata magar churanay aur mar dalnay
aur halak krnay ko main is liye aya kay wo
zindagi payen aur kasrat say payen”

-Yohanah 10:10

Kiya keya jaye:

 

1. Un tamam jani, anjani, iradi aur gair iradi muahidon ko torr dalen jo kay aap nay khauf ki rooh kay saath kr rakhay hain

2. Is (eman) par qaim rehnay kay liye tauba karen aur isay tarq kareb

3. Isay (fiqr ko) Khudawand kay qadmon mein rakh dein aur is kay badlay mein Khuda kay rooh kay khauf ki pur tazeem kasrat ko mangain

4. Yeh sab Yesu kay nam mein karen

“Hawa kay parindon ko dekho kay na botay hain na kat’tay na kothion
mein jama krtay hain to bhi tumhara aasmani baap un ko
hai. Kya tum un say zyada qadar nahi rakhtay?”
-Matti 6:26

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *