Rooh Ki Baarish (Pakistan)

Qaideen Toofan a Pauhncha Hai……Khushi Say Is Amal Ko Qubool Karen (Roman URDU)

Toofan a chuka hai! Un logon kay liye larzish ho rahi hai jinhe kaleesia ki rahnumai kay liye bulaya gaya hai. Ab waqt hai kay kaleesia kay chunay huay qaideen mukamal taur par aasman kay taadud mein a jayen. Rosh Hashanah 5780 (yahudi rawayat kay mutabiq nayay saal ki Eid) mein dakhil hotay huay is waqt is baat par dehan den kyunke ek aisi tabdeeli anay ko hai jo phlay kbhi na ayi thi. Khuda kaleesia kay rahnumao’n ko apnay dilon, zehno’n aur apnay aap ko puri trha say us kay hawalay krnay kay liye bula raha hai. Jis trha Musa ko Khuda kay logon ki rahnumai aur rehai kay liye bulaya gaya tha wohi sorat-e-hal aj bhi maujood hai magar dulhan us trha tayar nahi hai jis trha usay tyar hona chahye!

Is waqt par gaur karen jb Khuda aap ko apnay ander apnay roz marah kay mamul mein tehrao lanay aur “pausheeda jagha” mein mulaqat kay liye aap ko aap ko bula raha hai. Apnay lahay-amal ko ek taraf rakh den aur us kay lahay-amal ko sunen. Is haftay kay ikhtetam par “pausheeda jagha” mein chup jayen. Khuda ko apnay ander kam aur apnay dil ki surgery krnay dein jis ki aap ko zarorat hai. Aisa na ho kay aap khuda kay huzoor un cheezon say alag honay ki faryad karen jo kay us kay maqsad say wabasta nahi aur phir jb Ap ko mauqa diya jaye to aap us ki bulahat par dehan na de payen. Waqt a pauhncha hai. Is waqt aur daur ko nazar andaz mat karen. Jin cheezon ko aap chor den gay wo un nayi cheezon kay liye kamra tyar karen gi  jo kay khuda aap ko dena chahta hai. Ye cheezain nihayat qabil e qadar hon gi.

(23) Aye Khuda! Tu mujhe janch aur meray dil ko pehchan.
Mujhe aazma aur meray khyalon ko jan lay.
(24) aur dekh kay mujh mein koi buri rawish to
nahi aur mujh ko abdi rah mein lay chal. 

-Zabur 139: 23-24

 

Dunya mein Rooh ka sb say bara nazool honay ko hai. Khuda khud ko ek qawi, qadir aur nayay andaz mein zahir krnay ko hai. Kaleesia kay qaideen woh hain jo is ki rahnumai karen. Aap ko Khuda kay Rooh ki awaz ko dehan say sun’nay ki zarorat hai wrna aap us kay kam ko pehchan nahi payen gay. Ye zaruri hai kay aap is daur aur waqt mein us mein qaim aur us ki qurbat mein rahen. Khuda pak bartano’n ko talash kar raha hai.

(5) main angoor ka darakht hoon aur tum dalian ho. Jo mujh mein
qaim raheta hai aur main us mein wohi bohat phal Lata hai
kyunke mujh say juda ho kar tum kuch nahi kar sktay. 
(6) agar koi mujh mein qaim na rahay to wo daali ki tarha
phaink diya jata hai aur sookh jata hai aur log unhe jama
kar k aag mein jhonk detay hain aur wo jal jati hain.
(7) agar tum mujh mein qaim raho aur meri batein tum mein
qaim rahen to jo chaho mango. Wo tumharay liye ho jaye ga.
(8) meray bap ka jalal isi say hota hai kay tum bohat
sa phal lao. Jab hi tum meray shagird thehro gay.

-Yohanah ki Injel 15:5-8

 

Rooh Al Quds ki qudrat kay waseela say kaleesia aur us kay logon mein sakht mehnat ka jazba lautnay ko hai. Is say daren nahi blkay is cheez par dehan dein kay khuda kis trha kam krna chahta hai aur usay khushamdid kahen. Mushaqat talab shifaat aur dua hi nataij paida krti hai. Bohat ehtiat karen kay aap khuda kay kam ko aur jis tarha wo apnay kam ko krna chahta hai usay tark na kar den. Us kay pas phlay say hi ek mansuba aur lahay-amal maujood hai. Yeh aap ki tawaqoat aur har trha ki soch aur tasawur say barh kar behad mukhtalif hai. Khuda ka yeh kam ek nayay aur mukhtalif darjay aur bulandi par zahir honay ko hai. Ye hairat angez aur jalali ho ga….Magar kya aap isay pehchanay gay? Kya aap is maujooda ghari kay liye us kay bqiya ko pehchan payen gay?

(12) main tum say sach kehta hoon kay jo mujh par eman
rakhta hai ye kam jo main krta hoon wo bhi karay ga balkay
in say bhi baray kam karay ga kyunke main baap kay pas jata hoon.

-Yohanah ki Injeel 14:12

 

Hosla afza rahen. Khuda aap ko shifayab aur har us cheez say aazad dekhna chahta hai jis nay aap ko bandh kar rakha hua tha. Wo aap ko azad krna chahta hai takay aap us roya ko bina rukawat kay pura kar saken jo kay aap ko di gayi hai. Aap us kay zehan mein hain. Yaad rakhen, aap yeh sab apnay zor e bazo say nai kar sktay blkay Masih kay badan kay saath ek ya yakja honay kay wasela say y sb kr sktay hain. Apni qooat aur taqat par nahi blkay us kay Rooh par inhesar karen.

(6) tab us nay mujhe jawab diya kay ye zerubbabel kay liye
Khudawand ka kalam hai kay na to zor say aur na tawanai
say blkay meri Rooh say Rab ul afuaj farmata hai.
(7) aur baray pahar tu kya hai? Tu zerubbabel kay
samnay maidan ho jaye ga aur jab wo choti ka pathar
nikal laye ga to log pukaren gay kay us par fazal ho. fazal ho.

-Zikriya 4:6-7

 

Khuda aap ko kasrat say barkat day. Sari tamjeed, izzat aur jalal sirf hamaray zinda Khuda ko milay. Yesu Tera shukar ho!

(translation credit: Harriet)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *